mohabat sraab k jesi he
mohabbat ebbaab k jesi he
ye chorri nahi ja sakti
mohabat sharab k jesi he
so rang rop is k
har dhang dhoop is me
hzaroon rahain badlti
manzil magar ik hi rakhti he
har raah pe chalti he
har raah pe milti he
kisi mannat k jesi he
mily to jannat k jesi he
na mily to azab k jesi he
ranjishoon ki kitab jesi he
jla de jo door hi door se
mohabat us aftab k jesi he
phir ansuoon se iski aag
bujh nhi skti
ye khoon maangti he
jalaad k jesi he
jo qadar na kry iski
or rakhay chah bhi iski
jo nibhana isy na chahy
ye zamany ko bol deti he
sab kuch khol deti he
ye chupa k kuch nahi rakhti
mohabbat rol deti he
gar qadr kro iski
to ye jannatoon jesi hen
mili hoi mannatoon jesi he
thandi hwaen bhi is me
pakeeza adaen bhi is me
hr pal hr saans mehkati he
ye dunya ghumati he
hwaoon k sang le jaati he
baarishoon me bhigooti he
mohabat khwab k jesi he
mohabbat rubaab k jesi he
jo thandi chaoon de
us mehtaab k jesi he
mohabbat aab jesi he
mohabbat rab k jesi he
he maamta bhi is me
mohabbat baap k jesi
jo raah bhi dikhaati he
baanhoon me sulati he
khushyaan bhi deti he
jeena sikhaati he
mohabat muqadas kitaab jesi he
mohabbat ebbaab k jesi he
mohabbat aftaab jesi he
mohabbat mehtaab jesi he
samndroon se gehri
mohabbat aab jesi he
mohabbat k rsty me koi na aaey
mohabbat selaab jesi he
--
Muhammad Inaam Anjum
Blog: www.inaamfirst.tk
www.inaamfirst.blogspot.com
Twitter:
www.Twitter.com/Enaam_theOne
inaamfirst
Write in google for get my complete available data
0 comments:
Post a Comment